सोमवार, 10 सितंबर 2012

Ghazal-Mushkil se mushkil ko saral karte hain

Mushkil se mushkil ko,saral karte hain|
ham gamzada chehro'n ko kanwal karte hain||

likhaa hi kisi ka to badal karte hain,
auro'n ki fakat ham to nakal karte hai |

ye log yaha'n kitni shagal karte hain,
har mod pe chehro'n ka badal karte hain|


jo karna ho gar aaj to wo kal karte hain,
ham saath me is waqt ke chhal karte hain|
 
ham hukm ki taamil ke kaayal hain"Chandan"
har haal me"Chandan"to tahal karte hain||

Nemichand Pooniya"Chandan"

शनिवार, 18 अगस्त 2012

Muktak-Harek ke haa'n me'n haa'n milana aataa nahi'n

Harek ke haa'n me'n haa'n milana aataa nahi'n|
jhoontha kisi ko dilaasaa dilana aataa nahi'n|
gardish me'n sitaare hai'n to koi gam nahi'n"Chandan"
meyaar se girna-o-giraanaa aataa nahi'n||

Nemichand Pooniya"Chandan"

शनिवार, 11 अगस्त 2012

Ghazal-Hukmraa'n is dour ke lo daakoo ho gaye

Hukmraa'n is dour ke lo daakoo ho gaye|
jo belagaam gorhe the,bekaaboo ho gaye||

zulm-o-sitam bhi had se guzarne lage hai ab,
insaaf ke taraajoo bhi bekaaboo ho gaye|

sach kahane ki jisne jurat agar hai ki,
us par galat qanoon fir sab laagoo ho gaye|

kaajoo ko dekhe ek zamaanaa guzar gaya,
ab moongfalee ki daane bhi lo kaajoo ho gaye|

ye roshnaai chaatatee hai khoon-e-aadmi'Chandan',
ab to qalam bhi lagte hai ke chaakoo ho gaye||

Nemichand Pooniya"Chandan"

मंगलवार, 7 अगस्त 2012

Ghazal-Hukmrano'n ke ird-gird chammcho'n ka raj hai

HUKMRANO KE IRD-GIRD CHAMMCHO'N KA RAJ HAI|
JYO'N PATTI-PAHARHO MEN HOOTO'N-DHHANCHO'N KA RAJ HAI||

SARE-BAZAR VEERA'N PARHI HAI DUKAANE,
GALI-CHOURAHO'N PAR KHOMCHO'N KA RAJ HAI|

MACHHLIYO'N MEN KHALBALI MACHI HAI JAB SE,
TAALAABO'N PE HUA LUCHCHO'N KA RAJ HAI|

QANOON-ANDHHA ,QAYADE BEHRE HO GAYE,
LAATE'N-GHOONSO'N HAATHAAPAAI KA RAJ HAI|

MULK SE'CHANDAN'AHINSA HUI NADAARAD,
DOURE-JAHA'N MEN LAPHANGO'N KA RAJ HAI||

NEMICHAND POONIYA "CHANDAN"

शुक्रवार, 3 अगस्त 2012

Ghazal-Jab-Jab Bhi Akaal Prha Hai

Jab-jab bhi akaal padaa hai|
sabke peeche janjaal padaa hai|

pashu bhookha nidhhaal padaa hai,
gaavn men sookha taal padaa hai|

panchhi bhi nazar nahi'n aate,
jaise zami'n pe jaal padaa hai|

khet-khalihan soonsaan pade hai,
bheed bhara choupaal padaa hai|

chee-kouvo,n ke thaal padaa hai,
har jangal kankaal pada hai|

do-chaar roz ki fike nahi'n hai,
aage poora saal padaa hai|

pecheeda paheli kaise hal hogi,
har jaan pe aan sawaal padaa hai|

darne ki koi baat nahi,n hai,
pahle bhi kai saal padaa hai|

Maharana ki janm-bhoomi pe kabhi bhi"CHANDAN"
bhaamaashaaho'n ka nahi'n kaal padaa hai||

(Meri pustsk-katron ka samandra se)

बुधवार, 1 अगस्त 2012

Ghazal-sadiyo'n se guhaar karte aaye'n ham desh ke karndhaaro'n se

Sadiyo'n se guhaar karte aaye ham desh ke karn dhaaro'n se|
siyaasat ki naav'n na chalaaye mazhab ki patwaro'n se||

nafrat ko ulfat se hi jeeta ja sakataa hai,
aman-o-chain qaayam nahi'n hota goliyo'n ki bouchharo'n se|

sanvidhaan men lekin,kintu,parntuk ka paibandh lagakar,
mufliso'n ko mahroom na karo tum unke adhikaaro'n se|

sarhad pe jang ladane se pahle ham sab ko miljulkar,
nipatna padega apne desh men chhupe hue gaddaro'n se|

doosro'n pe anguli uthaane se pahle apne girebaa,n men jaanke,
fir farde-zurm pash karo'n tum qaanoon ke oudedaaro'n se|

zar-o-zami,n jab tak bant ke nahi'n rahegi,
garibi,mahangaai mitne wali naji,n bhaashano'n naaro'n se

ease logo'n ka bhalaa kabhi huaa aur na hoga,
haq chhin ke khaa jaate hai jo bebas-o-laachaaro'n se|

hindoo muslim.sikkh,isaai miljul kar ease gaaye,
saaraaa gagan gunj uthe vande-maatram ka naaro'n se|

tan-man-dhan nyouchhavar karke bhi rakkhenge tirange ki shaan,
yahi'n sankalp hai hamaaraa kahdo"chandan" desh ke karedhaaro'n se||

मंगलवार, 31 जुलाई 2012

Muktak-Rida-E-Makamal Bun-Bun ke Laaye hain

Rida-e-makhmal bun-bun ke laaye hain|
Paigham-e-Muhbbat un-un ke laaye hain|
Jinke rang-o-boo se mahakti hai fizae"Chandan"
Wo gul gulshan se chun-chun ke laaye hain||
(Rida-e-makhmal maane-makhmal ki chaadar or kambal)

शनिवार, 28 जुलाई 2012

मंगलवार, 24 जुलाई 2012

Muktak-Jaha,n Ilm-o-shkhan ke qadrda,n honge

Jaha,n Ilm-o-sukhan ke qadrda,n honge|
Adibo,n ke waha,n qadam-e-nisha,n honge,
Ye bazme,n adab hai tamaashaa nahi,n"Chandan",
Jouhriyo,n ke thikaane heero,n ki dukaa,n honge||

सोमवार, 23 जुलाई 2012

Muktak-pechida sawalo,n ke jawabo,n men miloonga

pechida sawalo,n ke jawabo,n men miloonga|
gar bhoola bhi doge to kitabo.n men miloonga|
jo bhi mujhse roo-b-roo ho na sake"Chandan"
unhe,n main khyalo,n-khwabo,n men miloonga||

शनिवार, 21 जुलाई 2012

Ghazal-Jo parde men hain ek din sare-aam aayenge

Jo parde men hain,ek din sare-aam aayende|
hamen na thukrao ham bhi kabhi kaam aayenge||

 ye Raavan-raj suqoon se sone bhi nahi,n detaa,
koi ye to bataaye,fir kab Rahim-o-Raam aayenge|

apni izzat ko sambhaal ke rakhanaa yaro,n,
ek n ek din iske achchhe daam aayenge|

apni ouqaat ko too,n bhoolna na e dost,
raahe-zindgi men kai chhlakte jaam aayenge|

in aandhiyo,n ko dekh too,n ghabrana na e dost,
raahe-manzil men eaise kai kharo-gaam aayenge|

koi ja kar unse kahde sabr se kaam lena,
ham aayenge to kaam karke tamaam aayenge|

 E baade-sabaa,too,n,dhoop ka mizaaz jaane to bataa,
ghar mere gardish ke sitaare"CHANDAN"kis shaam aayenge||

गुरुवार, 19 जुलाई 2012

Muktak-Jahaa,n bhi raho apne girebaa,n men raho

Jaha,n bhi raho apne girebaa,n men raho|
gulshan men raho ya biyabaa,n men raho|
sabhi visvabees hain unnis nahi,n koi"Chandan"
ikkis mat bano gar Hindustaa,n men raho||

बुधवार, 18 जुलाई 2012

Ghazal- ashkon se chashmen-tar kar gaya koi


Ghazal-

ashkon se chashmen-tar kar gaya kio|
viraa,n saaraa shahar kar gaya koi||

na wakif the jo raahe-khuloos se,
unhen ilm peshe-nazar kar gaya koi|

jinki zubaa,n se nafrat hi boo aati thi,
unko ulfat se muatar kar gaya koi|

saaraa jahaa,n musafir hain,to fir kya malaal,
kinaaraa gar beech safar kar gaya koi|

zindgi ka safar kaate nahi,n katataa,
tanha jise "Chandan"hamsafar kar gaya koi||

मंगलवार, 17 जुलाई 2012

Ghazal-sabhi julm ke shikaar hue hai

sabhi julm ke shikar hue hain|
laayak bhi laachaar hue hain||

jisne tahe-dil se seva ki yatimo,n ki,
uske sapne saakaar hue hain|

sach ka daaman jisne thaamaa'
uske dushman hajaar hue hain|

jinhe foolo,n sa paala-posaa,
wo raahe-manzil khaar hue hain|

unke qadam jaha.n pade ,
biyaaba,n gulzaar hue hain|

naagwaar the jo marasim"Chandan",
aakhir darkinaar hue hain||

Muktak-zindgi ke maaine hi badal gaye

zindgi ke maaine hi badal gaye|
qanoono-qaaide hi badal gaye|
waqt ke saath nahi,n chala jo "Chandan",
 unke apne aaine hi badal gaye||

सोमवार, 16 जुलाई 2012

Qataa-Udas gul bhi gule-gulzar ho jaye

usaas gul bhi gule-gulzaar ho jaye|
chand lamho,n ka saath bhi yaadgaar ho jaye|
too,n apne zazbaato,n men wo kashish paida kar"Chandan"
har sangdil tera talabgaar ho jaye||

Ghazal-Kal ki ummid par hi zinde hain

kal ki ummid par hi zinde hai|
raah bhatke hue parinde hain||
z
ulm karna hi jinka,seva hai,
wo to iasaa,n nahi,n darinde hain|

dil ki aankho,n se dekhkar chalna,
har taraf khwaisho,n ke fande hain|

apni manzal nazar nahi,n aati,
dil ki aankho,n se saare andhe hain|

raahe,n sabki juda hain,manzil to ek hai,
 ek hi khuda ke "Chandan"saare bade hain||

शनिवार, 14 जुलाई 2012

muktak- insaan bant gaya rishto,n men

insaan bant gaya rishton men|
zindgi lut gayi kishton men|
roto,n ko jo hansa kar jaye"Chandan"
wo shamil ho jaye farishto,n men||

Ghazal-jo haadse rahen teri mushkil banaate hai

 Ghazal-

jo haadse rahen teri mushkil banaate hain|
too,n gum na kar e dil tujhe qabil banaate hain||

manzil milegi kaise unhen doston fir yahaa,n,
khwabon men baithkar ke jo manzil banaate hain|

wo log is jahaa,n men shaitaa,n se kam nahi,n,
aasaaniya,n logo,n ki jo mushkil banaate hain|

oulaad pe us baap ka eahsaan nahi,n hai kuchh,
jo apni oulaad ko jo jahil banaate hain|

kya maqsad-e-hayaat hai unse koi poochhe,
jo paar karke dariya,n ko sahil banaate hain|

ik munsifo,n ks dekhiye insaaf to zara,
qatil nah,n hai unko wo qatil banaate hain|

sharmo,n-hayaa ka parda na rasmo,n ka kuchh khyaal.,
"Chandan" bacho jo is tarah mahfil banaate hain||

Ghazal-bezubaano ki zuba,n ban jaiye|

Ghazal-

be-zubaano ki zubaa,n ban jaiye|
bananaa hai to insaan ban jaiye||

zulmon-sitam se jo hain khoufzada,
aap unke nigahbaa,n ban jaiye|

musthaq bedakhal jab hone lage,
Aap unke darbaan ban jaiye|

na de kisi yateem ko gar koi panaah,
aap unke mezbaa,n ban jaiye|

kisi ki asmat se jo gar koi khelne lage,
unki mout ks saamaan ban jaiye|

jio to is qadar jiyo yaaro,n,
fana ke baad dastaa,n ban jaiye|

ik muddat se baithe hain,intizar men,
aap ab to mehabaa,n ban jaiye|

jahaa,n men kahi,n bhi gar suqoo,n na mile to"Chandan"
aap mere dil men mehmaa,n ban jaiye||

muktak-ye baat tarife-qabile hain saltnat ke liye

muktak-
ye baat tarife-qabil hai saltnat ke liye|
hamare qadam bade,sirf muhbbat ke liye|
ye Ram-o-Rahim ki sarzami,n hain,yaro,n,
yaha,n koi jagah nahi,'CHANDAN"hai,nafrat ke liye||