मंगलवार, 31 जुलाई 2012

Muktak-Rida-E-Makamal Bun-Bun ke Laaye hain

Rida-e-makhmal bun-bun ke laaye hain|
Paigham-e-Muhbbat un-un ke laaye hain|
Jinke rang-o-boo se mahakti hai fizae"Chandan"
Wo gul gulshan se chun-chun ke laaye hain||
(Rida-e-makhmal maane-makhmal ki chaadar or kambal)

शनिवार, 28 जुलाई 2012

मंगलवार, 24 जुलाई 2012

Muktak-Jaha,n Ilm-o-shkhan ke qadrda,n honge

Jaha,n Ilm-o-sukhan ke qadrda,n honge|
Adibo,n ke waha,n qadam-e-nisha,n honge,
Ye bazme,n adab hai tamaashaa nahi,n"Chandan",
Jouhriyo,n ke thikaane heero,n ki dukaa,n honge||

सोमवार, 23 जुलाई 2012

Muktak-pechida sawalo,n ke jawabo,n men miloonga

pechida sawalo,n ke jawabo,n men miloonga|
gar bhoola bhi doge to kitabo.n men miloonga|
jo bhi mujhse roo-b-roo ho na sake"Chandan"
unhe,n main khyalo,n-khwabo,n men miloonga||

शनिवार, 21 जुलाई 2012

Ghazal-Jo parde men hain ek din sare-aam aayenge

Jo parde men hain,ek din sare-aam aayende|
hamen na thukrao ham bhi kabhi kaam aayenge||

 ye Raavan-raj suqoon se sone bhi nahi,n detaa,
koi ye to bataaye,fir kab Rahim-o-Raam aayenge|

apni izzat ko sambhaal ke rakhanaa yaro,n,
ek n ek din iske achchhe daam aayenge|

apni ouqaat ko too,n bhoolna na e dost,
raahe-zindgi men kai chhlakte jaam aayenge|

in aandhiyo,n ko dekh too,n ghabrana na e dost,
raahe-manzil men eaise kai kharo-gaam aayenge|

koi ja kar unse kahde sabr se kaam lena,
ham aayenge to kaam karke tamaam aayenge|

 E baade-sabaa,too,n,dhoop ka mizaaz jaane to bataa,
ghar mere gardish ke sitaare"CHANDAN"kis shaam aayenge||

गुरुवार, 19 जुलाई 2012

Muktak-Jahaa,n bhi raho apne girebaa,n men raho

Jaha,n bhi raho apne girebaa,n men raho|
gulshan men raho ya biyabaa,n men raho|
sabhi visvabees hain unnis nahi,n koi"Chandan"
ikkis mat bano gar Hindustaa,n men raho||

बुधवार, 18 जुलाई 2012

Ghazal- ashkon se chashmen-tar kar gaya koi


Ghazal-

ashkon se chashmen-tar kar gaya kio|
viraa,n saaraa shahar kar gaya koi||

na wakif the jo raahe-khuloos se,
unhen ilm peshe-nazar kar gaya koi|

jinki zubaa,n se nafrat hi boo aati thi,
unko ulfat se muatar kar gaya koi|

saaraa jahaa,n musafir hain,to fir kya malaal,
kinaaraa gar beech safar kar gaya koi|

zindgi ka safar kaate nahi,n katataa,
tanha jise "Chandan"hamsafar kar gaya koi||

मंगलवार, 17 जुलाई 2012

Ghazal-sabhi julm ke shikaar hue hai

sabhi julm ke shikar hue hain|
laayak bhi laachaar hue hain||

jisne tahe-dil se seva ki yatimo,n ki,
uske sapne saakaar hue hain|

sach ka daaman jisne thaamaa'
uske dushman hajaar hue hain|

jinhe foolo,n sa paala-posaa,
wo raahe-manzil khaar hue hain|

unke qadam jaha.n pade ,
biyaaba,n gulzaar hue hain|

naagwaar the jo marasim"Chandan",
aakhir darkinaar hue hain||

Muktak-zindgi ke maaine hi badal gaye

zindgi ke maaine hi badal gaye|
qanoono-qaaide hi badal gaye|
waqt ke saath nahi,n chala jo "Chandan",
 unke apne aaine hi badal gaye||

सोमवार, 16 जुलाई 2012

Qataa-Udas gul bhi gule-gulzar ho jaye

usaas gul bhi gule-gulzaar ho jaye|
chand lamho,n ka saath bhi yaadgaar ho jaye|
too,n apne zazbaato,n men wo kashish paida kar"Chandan"
har sangdil tera talabgaar ho jaye||

Ghazal-Kal ki ummid par hi zinde hain

kal ki ummid par hi zinde hai|
raah bhatke hue parinde hain||
z
ulm karna hi jinka,seva hai,
wo to iasaa,n nahi,n darinde hain|

dil ki aankho,n se dekhkar chalna,
har taraf khwaisho,n ke fande hain|

apni manzal nazar nahi,n aati,
dil ki aankho,n se saare andhe hain|

raahe,n sabki juda hain,manzil to ek hai,
 ek hi khuda ke "Chandan"saare bade hain||

शनिवार, 14 जुलाई 2012

muktak- insaan bant gaya rishto,n men

insaan bant gaya rishton men|
zindgi lut gayi kishton men|
roto,n ko jo hansa kar jaye"Chandan"
wo shamil ho jaye farishto,n men||

Ghazal-jo haadse rahen teri mushkil banaate hai

 Ghazal-

jo haadse rahen teri mushkil banaate hain|
too,n gum na kar e dil tujhe qabil banaate hain||

manzil milegi kaise unhen doston fir yahaa,n,
khwabon men baithkar ke jo manzil banaate hain|

wo log is jahaa,n men shaitaa,n se kam nahi,n,
aasaaniya,n logo,n ki jo mushkil banaate hain|

oulaad pe us baap ka eahsaan nahi,n hai kuchh,
jo apni oulaad ko jo jahil banaate hain|

kya maqsad-e-hayaat hai unse koi poochhe,
jo paar karke dariya,n ko sahil banaate hain|

ik munsifo,n ks dekhiye insaaf to zara,
qatil nah,n hai unko wo qatil banaate hain|

sharmo,n-hayaa ka parda na rasmo,n ka kuchh khyaal.,
"Chandan" bacho jo is tarah mahfil banaate hain||

Ghazal-bezubaano ki zuba,n ban jaiye|

Ghazal-

be-zubaano ki zubaa,n ban jaiye|
bananaa hai to insaan ban jaiye||

zulmon-sitam se jo hain khoufzada,
aap unke nigahbaa,n ban jaiye|

musthaq bedakhal jab hone lage,
Aap unke darbaan ban jaiye|

na de kisi yateem ko gar koi panaah,
aap unke mezbaa,n ban jaiye|

kisi ki asmat se jo gar koi khelne lage,
unki mout ks saamaan ban jaiye|

jio to is qadar jiyo yaaro,n,
fana ke baad dastaa,n ban jaiye|

ik muddat se baithe hain,intizar men,
aap ab to mehabaa,n ban jaiye|

jahaa,n men kahi,n bhi gar suqoo,n na mile to"Chandan"
aap mere dil men mehmaa,n ban jaiye||

muktak-ye baat tarife-qabile hain saltnat ke liye

muktak-
ye baat tarife-qabil hai saltnat ke liye|
hamare qadam bade,sirf muhbbat ke liye|
ye Ram-o-Rahim ki sarzami,n hain,yaro,n,
yaha,n koi jagah nahi,'CHANDAN"hai,nafrat ke liye||